Friday, January 28, 2011

Hai isi mein pyar ki aabroo

Hai isi mein pyar ki aabroo
Woh jafa kare main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahen ke main kya karoon
Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez
Yehi gham hai ab meri zindagi
Ise kaise dil se juda karoon
Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon.
Yeh likha hai mere naseeb mein
Yoon hi shamma banke jala karoon.
Na kisiki dil ki hoon aarzoo
Na kisi nazar ki hoon justujoo.
Main woh phool hoon jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karoon.

No comments:

Post a Comment

Advertisement