Sunday, March 6, 2011

Tum ko is sa kiya?

" Tum ko is sa kiya? "

toti hai mere neend magar tum ko is sa kiya?
bajtay rehain hawoon sa daar ' tum ko is sa kiya?

tum moj moj masl-e-saba ghoomtay ho
kat jayin mere sooch k par ' tum ko is sa kiya?

auroon k hath thamo ' onhain rasta dekhoo
mein bhool jaoon apna hi ghar ' tum ko is sa kiya?

abar-e-garaze pa ko barasnay sa kiya garaz?
seepi mein ban na pay gohar' tum ko is sa kiya!

la jayin mujhy ko maal-e-ganeemat k sath adoo
tum na tu daal di hai sapar ' tum ko is sa kiya?

tum na tu thaak ker dasht mein kham-ay laga liya
tanha katay kisi k safar ' tum ko is sa kiya?

No comments:

Post a Comment

Advertisement