Ye na thee hamaree qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeetay rehtay, yehee intezaar hota
......
Tere waaday par jeyay toe ye jaan jhoot jana
Ke khoshee say mar na jaatay agar aitebar hota
......
Rug-e-sung say tapakta woe lahoo ke pher na thumta
Jesay ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota
......
Kahoon kiss say main ke kya hay shub-e-ghum buree bala hay
Mujhay kya bura tha marna, agar aik bar hota
......
Huyay mar ke hum joe rusva, huyuy kyun na gharq-e-daryaNa kaheen janaza uthta, na kaheen mazaar hota
......
Ye masaal-e-tasavuf, ye tera byaan-e-ghalib
Tuj-hay hum valee samajh-tay, joe na baada khawar hota
No comments:
Post a Comment