Sunday, March 6, 2011

Yeh kaisa raasta hai

Yeh kaisa raasta hai, yeh kaisi dagar hai
manzil hi nahi milti, yeh kaisa safar hai

Har shaqs uljha hua hai apni jadd-o-jahad mein
auron ki khabar hai na hamein khud ki fikar hai

Fursath hi nahi kisi ko jo dekhle yeh gaur se
unke ghar ka raasta, kiski raah-guzar hai

Khana badosh jo thokareion khaata hai dar-ba-dar
uski hi galtiyon ka, lakhzisshon ka asar hai

Shikwa aur shikayat hum bhala kisi se kyon kare
char din ki zindagi hai, jo badi mukhtasar hai

Maan lo is baat ko agar khush rehna hai tanha
kismath mein likhi hai tanhai, tabhi humsafar hai

No comments:

Post a Comment

Advertisement