Showing posts with label Ghazal Sms. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Sms. Show all posts

Sunday, March 6, 2011

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi

Tu Ne Jo Chonk Kar Her Jagha Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi

Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi

Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
Yaser Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi

Zikir Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi

Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi

Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin Yaser
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi

Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi

Adab ki had main hoon

Adab ki had main hoon ,main bay adab nahi hota
tumhara tazkra ab roz-o- shab nahi hota

kabhi kabhi tu chalak parhteen hain yoonhi ankhen
udas honay ka koi sabab nahi hota

kaye ameeron ki mehroomiyan na poch k bas
ghareeb honay ka ehsas ab nahi hotta

main waldan ko yeh batt kaysay samjaoon
mohabbatoon main hasab aur nasab nahi hotta

wahan k log baray dill farab hottay hain
mayra bahkna bhi kuch ajeeb nahi hotta

main uss zameen ka deedarkarna chahta hoon
jahan kabhi bhi KHUDA ka ghazab nahi hotta

hum se dekhi nahi jati yeh veerani dil ki

hum se dekhi nahi jati yeh veerani dil ki
koe samjha ha na samjhe ga khahani dil ki

tamana ishq ki barbad kar gaye hum ko
hum jise aaj bhi kehte han nadani dil ki

jab bhi dekha use dharkan na phir sambhal paye
ab bi mansoob usi se ha rawani dil ki

ham na badle magar dunya badal gaye
wohi dil hai ha wohi adat purani dil ki

nafrat ki dhoop mein barsat se pehle


nafrat ki dhoop mein barsat se pehle
halat na the aise us mulaqat se pehle

har kisi ko hamdard samajh lete the
ham b kitne saadah the muhabbat k tajurabat se prhle

ye barish ye hawa ye dhanak ye mousam
kis kis se muhabbat thi us zaat se pehle

bikhray to bus aise toot k bikhray
log dete the misal hamari hadsat se pehle

tu ye na samajh us se ulfat gaye dinon ki bat thi
hum aaj bhi sochte han use apni zaat se pehley

Usey kehna

Usey kehna

Bikhar rahi hai meri zaat usey kehna,
Kabi mily to yahi bat usey kehna

Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera,
Magar AB koi nai mery sath usey kehna

Usey kehna k bin us k din nahin kat’ta,
Sisik sisik k kat’ti hai raat usey kehna

Agar who phir b na lotey to aey meherban,
Hamari zeest k halaat usey kehna..!

Her jeet us k naam ker rahi hoon main,
Main manti hoon apni haar usey kehna..

Na kisee key ankh ka noor houn


Na kisee key ankh ka noor houn na kisee kay dil ka qaraar houn
Joe kisee kay kaam na aa sakay main vo aik musht-e-ghubar houn
......
Mera rung roop bigar gaya, mera yaar mujh say bichar gaya
Joe chaman khazan say ujar gaya, main usee key fasal-e-bahaar

houn

......
Pa'ay fateha, ko'ey a'ay kyun, ko'ey chaar phool charha'ay ky'oun
Ko'ey Aa kay shama jala'ay, main vo bay kaseey ka mazaar houn
......
Main nahin houn naghma janfaza, mujhe soon kay ko'ey karay ga

kya

Main baray boroug key houn sadaa', main baray dukhee key

pukaar houn

Ye na thee hamaree qismat

Ye na thee hamaree qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeetay rehtay, yehee intezaar hota
......
Tere waaday par jeyay toe ye jaan jhoot jana
Ke khoshee say mar na jaatay agar aitebar hota
......
Rug-e-sung say tapakta woe lahoo ke pher na thumta
Jesay ghum samajh rahay ho, ye agar sharaar hota
......
Kahoon kiss say main ke kya hay shub-e-ghum buree bala hay
Mujhay kya bura tha marna, agar aik bar hota
......
Huyay mar ke hum joe rusva, huyuy kyun na gharq-e-darya
Na kaheen janaza uthta, na kaheen mazaar hota
......
Ye masaal-e-tasavuf, ye tera byaan-e-ghalib
Tuj-hay hum valee samajh-tay, joe na baada khawar hota

Dasht-e-tanhai may aiy jaan-e-jahaan

Dasht-e-tanhai may aiy jaan-e-jahaan
larzaan hain
teyree waaz kay saa'ay
terey honton kay saraab
dasht-etanhai may
doori kay khas-o-khaaq talay
khil rahay hain
terey pehloon kay samand aur gulaab
utth rahi hai kaheen qurbat say
teyree saans ki aanch
apni khushboo may sulagtee hoo'i
madham madham
door ufaq par chamaktee hoo'i
qatra qatra gir rahee hae
teyree dildaar nazar ki shabnam
iss qadar pi'yar say aiy jaan-e-jahan
rakha hae
dil kay rukhsaar pay iss waqt
teyree yaad nay haath
yun gumaa hotaa hai
garchai hai abhi subh-e-firaat
dhal ga'ya hijr ka din
aa bhi ga'yi wasl ki raat

Phir koee aya dil zaar

Phir koee aya dil zaar, nahin koyee nahin
Rah-raw hoga, kahin aur chala jaa-ae ga
Dhal chukee raat, bikhar-nay laga taron ka ghobaar
Larkharanay lagay aivanon main khabeeda charaagh
Soga-ye raata tak tak kay her aik rah-guzar
Ajnabee khaak nain dhundlad-ye qadmon kay suragh
Gull karo shamain, barhaadoe main o meena o ayagh
Apnay bay-khawab kivaron ko muqaffal kar lo
Ab yahan koyee nahin, koyee nahin aay ga!

Kab ho gai zindagi ki shab

Kab ho gai zindagi ki shab, kuch samajh nahi aaya
rukhsat ho gaye duniya se kab, kuch samajh nahi aaya

Sabki thi fikar-o-fugaan, sabse thi adavat-e-nihaan
unki is fitrat ka sabab, kuch samajh nahi aaya

Umr saari guzaar gaye yoon jid-o-jahad main woh
aakhir kis cheez ki thi talab, kuch samajh nahi aaya

Giraftaar-e-balaa the, ya khush te apni qazaa se
halath banaai thi aisi ajab, kuch samajh nahi aaya

Zindagi ka safar to tanha hi basar hua lekin
maiyyat main kyon shareek the sab, kuch samajh nahi aaya

Yeh kaisa raasta hai

Yeh kaisa raasta hai, yeh kaisi dagar hai
manzil hi nahi milti, yeh kaisa safar hai

Har shaqs uljha hua hai apni jadd-o-jahad mein
auron ki khabar hai na hamein khud ki fikar hai

Fursath hi nahi kisi ko jo dekhle yeh gaur se
unke ghar ka raasta, kiski raah-guzar hai

Khana badosh jo thokareion khaata hai dar-ba-dar
uski hi galtiyon ka, lakhzisshon ka asar hai

Shikwa aur shikayat hum bhala kisi se kyon kare
char din ki zindagi hai, jo badi mukhtasar hai

Maan lo is baat ko agar khush rehna hai tanha
kismath mein likhi hai tanhai, tabhi humsafar hai

Mera dil bohat udaas hai

Mera dil bohat udaas hai
yeh raatain bay sukooN haiN
yeh din bay aaraam haiN
nujhay mohabbat ki piyaas hai
Mera dil bohat udaas hai

Go kay tu mujh say bichar gaya
Mera chayn bhi mujh say lay gaya
Na janay kyoon phir teri aas hai
Mera dil bohat udaas hai

Tujhay bholnay ki jab koshish kari
Haqeeqat ko samajhnay ki koshish kari
yun laga tu kahiN aas pass hai
Mera dil bohat udaas hai

Zindagi aisay daurahay par aayee hai
Kay sirf maiN aur meri tanhai hai
Fahad yeh kaisa ajeeb ahsas hai
Mera dil bohat udaas hai

Katoon si chubhti hai Tanhai

Katoon si chubhti hai Tanhai
Angaroon si sulagti hai Tanhai
Koi aa kar hum dono ko hunsa de
Main rotii hoon rone lagti hai Tanhai
Jab bhi tere Hisar se nikalna chaha
Yaadoon k beej bone lagti hai Tanhai
Raat k kisi hise main yeh bhi Bewafa ho jati hai
Main nahi sotii sone lagti hai Tanhai
Tum se judaa ho kar is se hi Dil laga lia hai
Mar sa jatii hoon jab khone lagti hai Tanhai...

Friday, January 28, 2011

Ab to mumkin hi nahi

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat ?WASI?
Ab to urooj pe pahunchi hai us ki zaat ?WASI?
Wohi wade hain aur rasmon ki zanjeeren baqi
Kab badalti hain zamane ki riwayat ?WASI?
Ek wo din the k ek doosre ko sochte the hum
Ab milte nahi dono k khayalat ?WASI?

Main kisi aur ki hun

Main kisi aur ki hun,itna bta kar roi
Wo mujhe Mehndi lagay hath dikha kr roi
Main Be-Qasoor hoon Qudrat ka faisla hai ye
Lipat k mujh se wo bus itna bta k roi
Mujh pe aik karb ka toofan ho gya hayel
Jab mere samny khat mere jala kar roi
Meri nafrat aur adawat pighal gayi pal mein
Wo Bewafa hai to Q mujh ko rula kr royi
Sab shikway mere 1 pal mein beh gaye “wassi”
Jheel si Aankhon mein jb Aansu saja kar roi.

hans k rola jate hain

Hanste hain yon hi hans k rola jate hain log,
Milte hain yon hi mil k judaa ho jate hain log,
Pal do pal umar ka sath na samjho,
Mohabbat b karte hain or khafa b ho jate hain log,
Qedi hain na jane kin kin majboriyon k,
Kar k izhaar-e- mohabbat beparwa ho jate hain log,
,
Ab kis se shikwa karen apni kismat ka.
?WASI
Kar k wafa k wade bewafa ho jate hen log.

Ma Usko Phir Naye

Ma Usko Phir Naye Khwabon ka Jhan de aya.Zameen bn k usy Asman de aya..Khuda k wsty milny ki raah dy mjhko.Gham-e-Firaq ka her Imtehan de aya.Na ki zara bhi wzaht ksi b jazby ki.usy yaqeen tha aur me guman de aya.wo chahta tha k ho Karobar-e-ishq wasi.Mein usko dard ki sari dukan de aya.Bara Fareza tha Tableegh-e-ishq mere liye.Mein Munikeron ki zameen pe Azaan de aya.

Hai isi mein pyar ki aabroo

Hai isi mein pyar ki aabroo
Woh jafa kare main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahen ke main kya karoon
Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez
Yehi gham hai ab meri zindagi
Ise kaise dil se juda karoon
Jo na ban sake main woh baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon.
Yeh likha hai mere naseeb mein
Yoon hi shamma banke jala karoon.
Na kisiki dil ki hoon aarzoo
Na kisi nazar ki hoon justujoo.
Main woh phool hoon jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karoon.

Dil Bethe tujh pe Haar piya

“Dil Bethe tujh pe Haar piya,
Kr tu b Hum se pyar piya
Ab dard ka darman kon bnay
Hum Barson se Bemaar piya
In Galyon Me kuch Bhol Gaey
Dil roye
zar-o-zaar piya
kyun chup chup Gum sum rehte ho
Ye pochen Hum se yar piya
Kuch dil b Bojhal Bojhal hai
Kuch yadon ka Ambaar piya
Hum tujh se hai Nraz Boht
Ye Bhol Gaye Hr Bar piya
Kis Haal Me ha Ab Deewana
Aa dekh
sar-e-bazar piya
Ik khwb Ajb sa dekha tha
Hum us din se Bezar piya
Ab Nend b Hum se rooth Gai
Phr kese ho dedar piya
Ab keh daalo to Behtar ha
Jo karna ha iqraar piya
Dil Ghum se hi phat jaye Ga
Kr dena Na inkaar piya.

Advertisement