Showing posts with label Poetry Sms. Show all posts
Showing posts with label Poetry Sms. Show all posts

Sunday, March 6, 2011

Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi

Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi…
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k…
Meri kisi saada par woh thehra he nahi…
khuda se jholi pehla kay manga tha usay …
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi…
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka …
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi

auroon k hath thamo

auroon k hath thamo ' onhain rasta dekhoo
mein bhool jaoon apna hi ghar ' tum ko is sa kiya?

abar-e-garaze pa ko barasnay sa kiya garaz?
seepi mein ban na pay gohar' tum ko is sa kiya!

Tum ko is sa kiya?

" Tum ko is sa kiya? "

toti hai mere neend magar tum ko is sa kiya?
bajtay rehain hawoon sa daar ' tum ko is sa kiya?

tum moj moj masl-e-saba ghoomtay ho
kat jayin mere sooch k par ' tum ko is sa kiya?

auroon k hath thamo ' onhain rasta dekhoo
mein bhool jaoon apna hi ghar ' tum ko is sa kiya?

abar-e-garaze pa ko barasnay sa kiya garaz?
seepi mein ban na pay gohar' tum ko is sa kiya!

la jayin mujhy ko maal-e-ganeemat k sath adoo
tum na tu daal di hai sapar ' tum ko is sa kiya?

tum na tu thaak ker dasht mein kham-ay laga liya
tanha katay kisi k safar ' tum ko is sa kiya?

Bholi larki


Bholi larki!
mat is khawab ke peeche bhago
pathar ban ker reh jao gi
tez boht hai waqt ka darya
tum bhi is main beh jao gi
yeh nashtar jaise ruswai
bolo, kaise seh pao gi
kya bachon jaise baaton se
tum sab ko behla sakti ho?
kya tum apne man ki mantaq
duniya ko samjha sakti ho?
khawabon jaise baatain ker k
kya taabirayain paa sakti ho?
baap ki shafqat, maa ki mamta
kya such much thukra sakti ho?
jis ghar main parwan charhen tum
is ko chore ke aa sakti ho?
aise baatain na mumkin hain
bus tum apni tanhai main
hijar ke geet hi gaa sakti ho

Apni muhabat ki koe

Apni muhabat ki koe wazahat nahi karta
han ye dil us k siwa koe chahat nahi karta

aik ham hain jo khushyan bhi nichawar kar dete hain
aik wo hai jo dard bi inayat nahi karta

jab bi use bhulne ki koshish ki ha
mere andar hai koe jo meri himayat nahi karta

Meri duniya main ujale ka Kahen naam naheen

Meri duniya main ujale ka

Kahen naam naheen

Main to samjha tha teri zulf k saye k tale

Main to samjha tha judai teri mumkin hi naheen

Mout bhi ai to tere zanoon pe aye gi

Khub aey dost uraya meri chahat ka mazakh

Ham jahan the woh ajab piyar ka doraha tha

Sari duniya k bura ban k tujhe chaha tha

Meri khamosh mohabbat mera pakiza khalos

Piyar ka taajmahal kaisa geraya tue ne

Mere ashkoon pe zamane ko hansaya tue ne

Main ne socha tha jalaoun ga

Mohabbat k chiraag

Ab teri zulf k badle andhre hoon ge

Sham jin ki na ho woh gham k sawere hoon ge

Friday, January 28, 2011

Hain yaar badlay badlay

Kabhi Fursaton ki Shab mein, Main ye sochta hoon Mohsin…
Hain yaar badlay badlay,
K main khud badal chukka hun…!!

Wohi Hath Kisi Aur K Hathon Mein

^Wohi Hath Kisi Aur K Hathon Mein Hai To Ajeeb Lagta Hai;
^Mohsin^
^Jin Haathon Ki Chorrian Kabi Tooti Thi Mery Haathon Mein^;

Meri Sansain Meri Takdeer se

Ek Pal Jo Usay Bhulane ka Sochta hoon
“Mohsin”
Meri Sansain Meri Takdeer se ulajh Jati hain.

Yeh Ghareeb Log Hain

Us Ne Yeh Soch Ker Alvida Keh Dia MOHSIN….!
Yeh Ghareeb Log Hain Mohabbat Ke Siwa Kia Dein Gay…

Ab to mumkin hi nahi

Ab to mumkin hi nahi un se mulaqat ?WASI?
Ab to urooj pe pahunchi hai us ki zaat ?WASI?
Wohi wade hain aur rasmon ki zanjeeren baqi
Kab badalti hain zamane ki riwayat ?WASI?
Ek wo din the k ek doosre ko sochte the hum
Ab milte nahi dono k khayalat ?WASI?

Ek pyari si tasveer teri

Andaz-e-mohabat bhi teri ek ada hy,
Door hy tu mujh se ye meri saza hy,
Dil mein basi hy ek pyari si tasveer teri,
Phir kaise keh don k tu mujh se juda hy

Ye kiya hua Teri Duniya ko

Ye kiya hua Teri Duniya ko Aye
khuda-e-karim
K Zinda Log Taras rahey Hain Zindagi k liye

Pee hai sharab har gali har dukan se

Pee hai sharab har gali har dukan se.
Ek dosti c ho gae he sharab k jaam se.
Guzre hain hum ishq me kuch aise mukam se.
k nafrat c ho gae he mohabat k nam se

Kehne ko to sab kehte hain

Kehne ko to sab kehte hain hum tere hain
” iqbal”
Par kaash koi aysa hota jisey merey dard sy takleef hoti.

Na PYAR hota kisi pther DIL se

Kash usey chahne ka arman na hota,
Main hosh mein rehtey howay anjan na hota,
Na PYAR hota kisi pther DIL se hum ko
yaa koi pathr DIL
!
insaan na hota.

Dil Bethe tujh pe Haar piya

“Dil Bethe tujh pe Haar piya,
Kr tu b Hum se pyar piya
Ab dard ka darman kon bnay
Hum Barson se Bemaar piya
In Galyon Me kuch Bhol Gaey
Dil roye
zar-o-zaar piya
kyun chup chup Gum sum rehte ho
Ye pochen Hum se yar piya
Kuch dil b Bojhal Bojhal hai
Kuch yadon ka Ambaar piya
Hum tujh se hai Nraz Boht
Ye Bhol Gaye Hr Bar piya
Kis Haal Me ha Ab Deewana
Aa dekh
sar-e-bazar piya
Ik khwb Ajb sa dekha tha
Hum us din se Bezar piya
Ab Nend b Hum se rooth Gai
Phr kese ho dedar piya
Ab keh daalo to Behtar ha
Jo karna ha iqraar piya
Dil Ghum se hi phat jaye Ga
Kr dena Na inkaar piya.

Mout Achi Hai Mager

Likh Dena Ye Misraa Meri Sang-E-Lehad Par,
.
K Mout Achi Hai Mager Dil Ka Lagana Acha Nahi.

Advertisement